Geet nahi gata hoon
Benaqab chehre hain
Daag bade gehre hain
Toota tilism aaj, saach se bhaya khata hoon
Geet nahi gata hoon
Geet nahi gaata hoon
Lagi kuch aise nazar,
Bikhra shishe ka shahar,
Apno ke mele main,
Meet nahi pata hoon
Peeth main choori sa chaand,
Rahu gaya rekha phannd,
Mukti ke shaano main bhi,
Bandh jata hoon
Geet nahi gata hoon
Geet nahi gaata hoon
-Atal Behari Vajpayee, 11th Prime Minister of India
4 comments:
The poem continues as follows, where the poet writes with a renewed vigour:
Toote hue taaro se phoote vasanti swar,
Paththar ki chathi me ug aaya nav ankur,
Jhare sab peele paat, koyal ki kuhuk raat
Prachi me arunima ki rekh dekh paata hoon,
Geet naya gaata hoon, geet naya gaata hoon.
Toote hue sapne ki sune kaun siski,
Antar ko cheer vyatha palkon par thithki,
Haar nahi maanoonga, raar nayi thaanoonga,
Kaal ke kapal par likhta mitatha hoon,
Geet naya gaata hoon, geet naya gaata hoon.
Thank you so much Vijay for contributing on this post.
Jeevan Ki dhalne lagi saanch,
Umar ghat gai, Dagar Kat gai
Jeevan Ki dhalne lagi saanch
Badle hai aarth, Shabad huye Vayarth,
Shanti bina Kushiya hai Baanj,
Jeevan Ki dhalne lagi saanch,
thnax Bro' Mr.Vijaykumar Ramaswamy
Post a Comment